mamnun-e-gesu-o-lab-o-ruKHsar kaun hai
mamnūn-e-gesū-o-lab-o-ruḳhsār kaun hai
mujh sā shahīd-e-tāla-e-bedār kaun hai
mahv-e-tavāf-e-kūcha-e-jānāñ sabhī to haiñ
lekin ye dekhiye ki sar-e-dār kaun hai
ik sham.a hai so jaltī hai apnī hī aag meñ
ai soz-e-ishq terā azādār kaun hai
duniyā hai qaid-ḳhāna sabhī qaid haiñ magar
in qaidiyoñ meñ terā giraftār kaun hai
gul raah meñ bichhe hoñ to sāthī hazār haiñ
lekin rafīq-e-vādī-e-pur-ḳhār kaun hai
dil meñ huuñ nāvak-e-ġham-e-daurāñ liye hue
mujh sā harīs-e-lazzat-e-āzār kaun hai
sab pherte haiñ tujh se nazar ai zavāl-e-husn
ā.īne ke sivā tirā ġham-ḳhvār kaun hai
apnī dūkāñ baḌhā.iye ab hazrat-e-'vafā'
is daur meñ vafā kā ḳharīdār kaun hai
mamnun-e-gesu-o-lab-o-ruKHsar kaun hai
mujh sa shahid-e-tala-e-bedar kaun hai
mahw-e-tawaf-e-kucha-e-jaanan sabhi to hain
lekin ye dekhiye ki sar-e-dar kaun hai
ek shama hai so jalti hai apni hi aag mein
ai soz-e-ishq tera azadar kaun hai
duniya hai qaid-KHana sabhi qaid hain magar
in qaidiyon mein tera giraftar kaun hai
gul rah mein bichhe hon to sathi hazar hain
lekin rafiq-e-wadi-e-pur-KHar kaun hai
dil mein hun nawak-e-gham-e-dauran liye hue
mujh sa haris-e-lazzat-e-azar kaun hai
sab pherte hain tujh se nazar ai zawal-e-husn
aaine ke siwa tera gham-KHwar kaun hai
apni dukan baDhaiye ab hazrat-e-'wafa'
is daur mein wafa ka KHaridar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.