man bai-ragi tan anuragi qadam qadam dushwari hai
man bai-rāgī tan anurāgī qadam qadam dushvārī hai
jīvan jiinā sahl na jaano bahut baḌī fankārī hai
auroñ jaise ho kar bhī ham bā-izzat haiñ bastī meñ
kuchh logoñ kā sīdhā-pan hai kuchh apnī ayyārī hai
jab jab mausam jhūmā ham ne kapḌe phāḌe shor kiyā
har mausam shā.ista rahnā korī duniyā-dārī hai
aib nahīñ hai is meñ koī lāl-parī nā phūl-kalī
ye mat pūchho vo achchhā hai yā achchhī nādārī hai
jo chehra dekhā vo toḌā nagar nagar vīrān kiye
pahle auroñ se nā-ḳhush the ab ḳhud se be-zārī hai
man bai-ragi tan anuragi qadam qadam dushwari hai
jiwan jina sahl na jaano bahut baDi fankari hai
auron jaise ho kar bhi hum ba-izzat hain basti mein
kuchh logon ka sidha-pan hai kuchh apni ayyari hai
jab jab mausam jhuma hum ne kapDe phaDe shor kiya
har mausam shaista rahna kori duniya-dari hai
aib nahin hai is mein koi lal-pari na phul-kali
ye mat puchho wo achchha hai ya achchhi nadari hai
jo chehra dekha wo toDa nagar nagar viran kiye
pahle auron se na-KHush the ab KHud se be-zari hai
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 197)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.