Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mannat-guzar-e-rahzan-o-rahbar na the

Bismil Aghai

mannat-guzar-e-rahzan-o-rahbar na the

Bismil Aghai

MORE BYBismil Aghai

    mannat-guzār-e-rāhzan-o-rāhbar na the

    ham kab harīf-e-gardish-e-shām-o-sahar na the

    tūfān-e-bād-o-ġham se bhī zer-o-zabar na the

    āḳhir ham aadmī the charāġh-e-sahar na the

    guzre rah-e-junūñ se bahut kārvāñ magar

    vo choT khā ga.e jo vasī-un-nazar na the

    ahl-e-vafā ne manzil-e-maqsad ko liyā

    vo bad-nasīb the jo sharīk-e-safar na the

    allāh re tazād-e-yaqīn-o-gumān-e-shauq

    ham mo'atabar na the kabhī tum mo'atabar na the

    kab ahl-e-dil ko dard meñ rāhat nahīñ milī

    kab hādsāt marham-e-zaḳhm-e-jigar na the

    ab tak vahī hai tīrgī-e-shām-e-zindagī

    'bismil' mah-o-nujūm safīr-e-sahar na the

    mannat-guzar-e-rahzan-o-rahbar na the

    hum kab harif-e-gardish-e-sham-o-sahar na the

    tufan-e-baad-o-gham se bhi zer-o-zabar na the

    aaKHir hum aadmi the charagh-e-sahar na the

    guzre rah-e-junun se bahut karwan magar

    wo choT kha gae jo wasi-un-nazar na the

    ahl-e-wafa ne manzil-e-maqsad ko pa liya

    wo bad-nasib the jo sharik-e-safar na the

    allah re tazad-e-yaqin-o-guman-e-shauq

    hum mo'atabar na the kabhi tum mo'atabar na the

    kab ahl-e-dil ko dard mein rahat nahin mili

    kab hadsat marham-e-zaKHm-e-jigar na the

    ab tak wahi hai tirgi-e-sham-e-zindagi

    'bismil' mah-o-nujum safir-e-sahar na the

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now