mansab na kulah chahta hun
mansab na kulāh chāhtā huuñ
tanhā huuñ gavāh chāhtā huuñ
ai ajr-e-azīm dene vāle!
taufīq-e-gunāh chāhtā huuñ
maiñ sholagi-e-vajūd ke biich
ik ḳhatt-e-siyāh chāhtā huuñ
Dartā huuñ bahut bulandiyoñ se
pastī se nibāh chāhtā huuñ
vo din ki tujhe bhī bhuul jā.ūñ
us din se panāh chāhtā huuñ
mansab na kulah chahta hun
tanha hun gawah chahta hun
ai ajr-e-azim dene wale!
taufiq-e-gunah chahta hun
main sholagi-e-wajud ke bich
ek KHatt-e-siyah chahta hun
Darta hun bahut bulandiyon se
pasti se nibah chahta hun
wo din ki tujhe bhi bhul jaun
us din se panah chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.