mansub charaghon se taraf-dar hawa ke
mansūb charāġhoñ se taraf-dār havā ke
tum log munāfiq ho munāfiq bhī balā ke
kyoñ zabt kī buniyād hilāne pe tulā hai
maiñ pheñk na duuñ hijr tujhe aag lagā ke
ik zūd-farāmosh kī be-faiz mohabbat
jā.ūñgī guzarte hue raavī meñ bahā ke
is vaqt mujhe 'umr-e-ravāñ dard bahut hai
tujh se maiñ nimaTtī huuñ zarā der meñ aa ke
maiñ apne ḳhad-o-ḳhāl hī pahchān na paa.ī
guzrā hai yahāñ vaqt baḌī dhuul uḌā ke
kartī huuñ tar-o-tāza harī rut ke manāzir
kāġhaz pe kabhī peḌ kabhī phuul banā ke
mansub charaghon se taraf-dar hawa ke
tum log munafiq ho munafiq bhi bala ke
kyon zabt ki buniyaad hilane pe tula hai
main phenk na dun hijr tujhe aag laga ke
ek zud-faramosh ki be-faiz mohabbat
jaungi guzarte hue rawi mein baha ke
is waqt mujhe 'umr-e-rawan dard bahut hai
tujh se main nimaTti hun zara der mein aa ke
main apne KHad-o-KHal hi pahchan na pai
guzra hai yahan waqt baDi dhul uDa ke
karti hun tar-o-taza hari rut ke manazir
kaghaz pe kabhi peD kabhi phul bana ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.