mansur pite hi mai-e-ulfat bahak gaya
mansur pite hi mai-e-ulfat bahak gaya
Mirza Maseeta Beg Muntahi
MORE BYMirza Maseeta Beg Muntahi
mansūr piite hī mai-e-ulfat bahak gayā
jām-e-mai-e-alast bharā thā chhalak gayā
piirī huī shabāb se utrā jhaTak gayā
shā.ir huuñ merā misr-e-sānī laTak gayā
mujh rind-pāk kā kabhī chullū na bhar diyā
saaqī tire karam se har ik yaar chhak gayā
maiñ loT ho gayā huuñ ḳhat-e-sabz-rañg par
ḳhār-e-chaman se dāman-e-dil pe aTak gayā
piirī meñ dil diyā but-e-be-raham yaar ko
manzil qarīb thī ki musāfir bahak gayā
bhaḌkāyā dil ko tazkira-e-husn-e-yār ne
ek Dher aag kā thā havā se dahak gayā
parda sharāb-e-ishq kā mansūr se khulā
naddāf thā ki pamba-e-mīnā dhanak gayā
bulbul hai chup nasīm-e-sahar bhī ḳhamosh hai
shāyad chaman meñ barg-e-ḳharābī khaḌak gayā
jām-e-bilūr mai kā bharā yaar ne diyā
shab ko hamārā aḳhtar-e-tāle.a chamak gayā
tū vo hasīñ huā ki hue tujh pe sab fidā
aisā hī gul khilā ki zamānā mahak gayā
rutba tire karam se huā ḳhāksār kā
ḳhurshīd kī tarah se ye zarra chamak gayā
saude se jo bharā vo huā sar vabāl-e-dosh
bār-e-shajar huā vo samar jo ki pak gayā
lagtā bahār-e-gul meñ garebāñ kā kyā patā
dāman ke phāḌne meñ kaho haath thak gayā
mansur pite hi mai-e-ulfat bahak gaya
jam-e-mai-e-alast bhara tha chhalak gaya
piri hui shabab se utra jhaTak gaya
shair hun mera misr-e-sani laTak gaya
mujh rind-pak ka kabhi chullu na bhar diya
saqi tere karam se har ek yar chhak gaya
main loT ho gaya hun KHat-e-sabz-rang par
KHar-e-chaman se daman-e-dil pe aTak gaya
piri mein dil diya but-e-be-raham yar ko
manzil qarib thi ki musafir bahak gaya
bhaDkaya dil ko tazkira-e-husn-e-yar ne
ek Dher aag ka tha hawa se dahak gaya
parda sharab-e-ishq ka mansur se khula
naddaf tha ki pamba-e-mina dhanak gaya
bulbul hai chup nasim-e-sahar bhi KHamosh hai
shayad chaman mein barg-e-KHarabi khaDak gaya
jam-e-bilur mai ka bhara yar ne diya
shab ko hamara aKHtar-e-talea chamak gaya
tu wo hasin hua ki hue tujh pe sab fida
aisa hi gul khila ki zamana mahak gaya
rutba tere karam se hua KHaksar ka
KHurshid ki tarah se ye zarra chamak gaya
saude se jo bhara wo hua sar wabaal-e-dosh
bar-e-shajar hua wo samar jo ki pak gaya
lagta bahaar-e-gul mein gareban ka kya pata
daman ke phaDne mein kaho hath thak gaya
- Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.