manzar-e-shahr hai KHun-bar zara der se aa
manzar-e-shahr hai ḳhūñ-bār zarā der se aa
ro rahe haiñ dar-o-dīvār zarā der se aa
tez hai vaqt kī raftār ḳhudā ḳhair kare
lamha lamha hai girāñ-bār zarā der se aa
maiñ tire ḳhvāb kā hāsil huuñ to māyūs na ho
raat bhar rahtā huuñ bedār zarā der se aa
shahr-e-iḳhlās meñ ik aag lagī hai har sū
kuchh qayāmat ke haiñ āsār zarā der se aa
jab manāzir na hoñ ġhamgīn na chehre hoñ udaas
tab manā.ūñgā maiñ tyauhār zarā der se aa
laash rakkhī hai abhī mashq-e-sitam karne ko
der se aa ai azā-dār zarā der se aa
manzar-e-shahr hai KHun-bar zara der se aa
ro rahe hain dar-o-diwar zara der se aa
tez hai waqt ki raftar KHuda KHair kare
lamha lamha hai giran-bar zara der se aa
main tere KHwab ka hasil hun to mayus na ho
raat bhar rahta hun bedar zara der se aa
shahr-e-iKHlas mein ek aag lagi hai har su
kuchh qayamat ke hain aasar zara der se aa
jab manazir na hon ghamgin na chehre hon udas
tab manaunga main tyauhaar zara der se aa
lash rakkhi hai abhi mashq-e-sitam karne ko
der se aa ai aza-dar zara der se aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.