Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai

Shahryar

manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai

Shahryar

MORE BYShahryar

    manzar guzishta shab ke dāman meñ bhar rahā hai

    dil phir kisī safar sāmān kar rahā hai

    rat-jagoñ meñ shāmil kuchh ḳhvāb ho ga.e haiñ

    chehra kisī ufuq phir ubhar rahā hai

    yūñhī merī āñkheñ hairān ho ga.ī haiñ

    mere sāmne se phir guzar rahā hai

    dariyā ke paas dekho kab se khaḌā huā hai

    ye kaun tishna-lab hai paanī se Dar rahā hai

    hai koī jo batā.e shab ke musāfiroñ ko

    kitnā safar huā hai kitnā safar rahā hai

    manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai

    dil phir kisi safar ka saman kar raha hai

    ya rat-jagon mein shamil kuchh KHwab ho gae hain

    chehra kisi ufuq ka ya phir ubhar raha hai

    ya yunhi meri aankhen hairan ho gai hain

    ya mere samne se phir tu guzar raha hai

    dariya ke pas dekho kab se khaDa hua hai

    ye kaun tishna-lab hai pani se Dar raha hai

    hai koi jo batae shab ke musafiron ko

    kitna safar hua hai kitna safar raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now