manzar ki ok se baDi ochhi lapak uThi
manzar kī ok se baḌī ochhī lapak uThī
ham jhaḌ chuke to peḌ kī Daalī lachak uThī
paanī kī pesh-raft ne sūkhā bhagā diyā
bārish ke ba.ad ghaas kī TukḌī lahak uThī
gorī ne paañv raah ke patthar pe rakh diyā
ya.anī kamar ke zor se gāgar chhalak uThī
naddī kā zor ab koī chhātī pe rok le
pusta banā rahe the ki miTTī sarak uThī
puure badan se qāfile harakat meñ aa ga.e
rānoñ meñ surḳh aab kī sāzish bidak uThī
gardan ke joḌ par tire bose kī bastagī
ik lams aur kaan kī lau tak damak uThī
manzar ki ok se baDi ochhi lapak uThi
hum jhaD chuke to peD ki Dali lachak uThi
pani ki pesh-raft ne sukha bhaga diya
barish ke baad ghas ki TukDi lahak uThi
gori ne panw rah ke patthar pe rakh diya
yani kamar ke zor se gagar chhalak uThi
naddi ka zor ab koi chhati pe rok le
pusta bana rahe the ki miTTi sarak uThi
pure badan se qafile harakat mein aa gae
ranon mein surKH aab ki sazish bidak uThi
gardan ke joD par tere bose ki bastagi
ek lams aur kan ki lau tak damak uThi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.