manzar ko kisi tarah badalne ki dua de
manzar ko kisī tarah badalne kī duā de
de raat kī ThanDak ko pighalne kī duā de
ai sā.at-e-vīrān ke be-ḳhvāb farishte
ab chīḳh ko siine se nikalne kī duā de
patte ko parindoñ kī panāhoñ pe lagā de
peḌoñ ko yahāñ phūlne phalne kī duā de
paḌh aisā vazīfa ki ye kohsār na ujḌe
chashmoñ ko pahāḌoñ se ubalne kī duā de
ab toḌ takānoñ ke takalluf se ta.alluq
pazhmurda tabī.at ko phisalne kī duā de
āfāq kī dīvāroñ kī āġhosh ko vā kar
ab matl.a-e-maujūd ko khulne kī duā de
ham bhuul hī jaa.eñ na kisī shakl-e-sahar ko
ab shab ko kisī taur se Dhalne kī duā de
manzar ko kisi tarah badalne ki dua de
de raat ki ThanDak ko pighalne ki dua de
ai saat-e-viran ke be-KHwab farishte
ab chiKH ko sine se nikalne ki dua de
patte ko parindon ki panahon pe laga de
peDon ko yahan phulne phalne ki dua de
paDh aisa wazifa ki ye kohsar na ujDe
chashmon ko pahaDon se ubalne ki dua de
ab toD takanon ke takalluf se talluq
pazhmurda tabiat ko phisalne ki dua de
aafaq ki diwaron ki aaghosh ko wa kar
ab matla-e-maujud ko khulne ki dua de
hum bhul hi jaen na kisi shakl-e-sahar ko
ab shab ko kisi taur se Dhalne ki dua de
- Book : Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 66)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vagdevi Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.