manzil-e-ishq ke rahbar kho gae
manzil-e-ishq ke rāhbar kho ga.e
mere hamdam mire ham-safar kho ga.e
inqilāb-e-zamāna ne karvaT jo lī
zikr ik do kā kyā ghar ke ghar kho ga.e
ho ga.ī ḳhatm rasm-e-mulāqāt bhī
vo nazāre vo shām-o-sahar kho ga.e
ham ne har gaam par saath chāhā magar
qāfile har na.e moḌ par kho ga.e
maiñ jo dāman meñ laayā thā aañsū tire
daaġh haiñ un ke la.al-o-gohar kho ga.e
baat ye raaz kī hai ki sab rāh-rau
rafta rafta har ik moḌ par kho ga.e
jab mukammal huī shams kī dāstāñ
maslahat hai ki ahl-e-nazar kho ga.e
manzil-e-ishq ke rahbar kho gae
mere hamdam mere ham-safar kho gae
inqilab-e-zamana ne karwaT jo li
zikr ek do ka kya ghar ke ghar kho gae
ho gai KHatm rasm-e-mulaqat bhi
wo nazare wo sham-o-sahar kho gae
hum ne har gam par sath chaha magar
qafile har nae moD par kho gae
main jo daman mein laya tha aansu tere
dagh hain un ke lal-o-gohar kho gae
baat ye raaz ki hai ki sab rah-rau
rafta rafta har ek moD par kho gae
jab mukammal hui shams ki dastan
maslahat hai ki ahl-e-nazar kho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.