manzilen ek si aawaragiyan ek si hain
manzileñ ek sī āvāragiyāñ ek sī haiñ
muḳhtalif ho ke bhī sab zindagiyāñ ek sī haiñ
koī qāsid ho ki nāseh koī āshiq ki adū
sab kī us shoḳh se vābastagiyāñ ek sī haiñ
dasht-e-majnūñ na sahī tesha-e-farhād sahī
safar-e-ishq meñ vāmāndgiyāñ ek sī haiñ
ye alag baat ki ehsās judā hoñ varna
rāhateñ ek sī afsurdagiyāñ ek sī haiñ
sūfī-o-rind ke maslak meñ sahī laakh tazād
mastiyāñ ek sī vāraftagiyāñ ek sī haiñ
vasl ho hijr ho qurbat ho ki duurī ho 'farāz'
saarī kaifiyyateñ sab tishnagiyāñ ek sī haiñ
manzilen ek si aawaragiyan ek si hain
muKHtalif ho ke bhi sab zindagiyan ek si hain
koi qasid ho ki naseh koi aashiq ki adu
sab ki us shoKH se wabastagiyan ek si hain
dasht-e-majnun na sahi tesha-e-farhad sahi
safar-e-ishq mein wamandgiyan ek si hain
ye alag baat ki ehsas juda hon warna
rahaten ek si afsurdagiyan ek si hain
sufi-o-rind ke maslak mein sahi lakh tazad
mastiyan ek si waraftagiyan ek si hain
wasl ho hijr ho qurbat ho ki duri ho 'faraaz'
sari kaifiyyaten sab tishnagiyan ek si hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.