manzilon ki chah le kar raston mein qaid hain
manziloñ kī chaah le kar rāstoñ meñ qaid haiñ
jitne the āzād panchhī ghoñsloñ meñ qaid haiñ
jo ye kahte the hamāre paañv meñ til hai janāb
aaj aise log bhī apne gharoñ meñ qaid haiñ
tujh se pahle tere jaisī shān-o-shaukat ke yahāñ
jaane kitne bādshah in maqbaroñ meñ qaid haiñ
jo kiye mahsūs maiñ ne us ko chhū kar pahlī baar
aaj bhī vo zā.iqe in uñgliyoñ meñ qaid haiñ
ḳhud uThānā paḌ rahā hai bojh apnā āj-kal
hāshiya-bardār saare hāshiyoñ meñ qaid haiñ
manzilon ki chah le kar raston mein qaid hain
jitne the aazad panchhi ghonslon mein qaid hain
jo ye kahte the hamare panw mein til hai janab
aaj aise log bhi apne gharon mein qaid hain
tujh se pahle tere jaisi shan-o-shaukat ke yahan
jaane kitne baadshah in maqbaron mein qaid hain
jo kiye mahsus main ne us ko chhu kar pahli bar
aaj bhi wo zaiqe in ungliyon mein qaid hain
KHud uThana paD raha hai bojh apna aaj-kal
hashiya-bardar sare hashiyon mein qaid hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.