maqam-o-ab hue sath sath sharminda
maqām-o-āb hue saath saath sharminda
hai karbalā jo pashemāñ furāt sharminda
lahū meñ Duub ke mazlūm surḳh-rū nikle
salīb-e-vaqt pe zālim kī zaat sharminda
jab ik jihat se chalā tiir nanhe bachche par
us ek pal meñ hue shash-jahāt sharminda
kahāñ hai shimr ko taufīq sharmsārī kī
magar hai ḳhanjar-e-qātil kī dhaat sharminda
gireñ jo kaT ke vahī sar-buland haiñ baazū
jo tiir mashk pe khīñcheñ vo haath sharminda
lahū-luhān shahīdoñ se sharmsār vo din
vo bībiyoñ ke khule sar kī raat sharminda
haiñ sar jhukā.e hue lafz lafz nauhoñ ke
bayān-e-marsiya kī baat baat sharminda
yazīd-o-shimr-o-amar aur bin-ziyād kahāñ
sivā.e hur ke huī sab kī zaat sharminda
fanā ke āḳhirī lamhe talak husain mire
rahegī ġham meñ tire kā.enāt sharminda
maqam-o-ab hue sath sath sharminda
hai karbala jo pasheman furaat sharminda
lahu mein Dub ke mazlum surKH-ru nikle
salib-e-waqt pe zalim ki zat sharminda
jab ek jihat se chala tir nanhe bachche par
us ek pal mein hue shash-jahat sharminda
kahan hai shimr ko taufiq sharmsari ki
magar hai KHanjar-e-qatil ki dhat sharminda
giren jo kaT ke wahi sar-buland hain bazu
jo tir mashk pe khinchen wo hath sharminda
lahu-luhan shahidon se sharmsar wo din
wo bibiyon ke khule sar ki raat sharminda
hain sar jhukae hue lafz lafz nauhon ke
bayan-e-marsiya ki baat baat sharminda
yazid-o-shimr-o-amar aur bin-ziyaad kahan
siwae hur ke hui sab ki zat sharminda
fana ke aaKHiri lamhe talak husain mere
rahegi gham mein tere kaenat sharminda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.