maqsad-e-zindagi DhunDhta rah gaya
maqsad-e-zindagī DhūñDhtā rah gayā
ik sirā jab milā dūsrā rah gayā
imtihāñ ke liye aur kyā rah gayā
ai ḳhudā bas tirā aasrā rah gayā
aise rakhā gayā mujh ko tasvīr meñ
zindagī bhar mirā sar jhukā rah gayā
ḳhud bhī shāmil rahā DhūñDne meñ use
umr bhar jis ko maiñ DhūñDhtā rah gayā
vaqt kī dhuup meñ miT ga.e sab nishāñ
dil ke kāġhaz pe bas naam kā rah gayā
muñh chhupā.e havā dekhtī rah ga.ī
hausla jis meñ thā vo diyā rah gayā
jis shajar se achānak parinde uḌe
vo shajar der tak kāñptā rah gayā
jab musībat kabhī ḳhud pe 'ahyā' paḌī
falsafa sab dharā kā dharā rah gayā
maqsad-e-zindagi DhunDhta rah gaya
ek sira jab mila dusra rah gaya
imtihan ke liye aur kya rah gaya
ai KHuda bas tera aasra rah gaya
aise rakha gaya mujh ko taswir mein
zindagi bhar mera sar jhuka rah gaya
KHud bhi shamil raha DhunDne mein use
umr bhar jis ko main DhunDhta rah gaya
waqt ki dhup mein miT gae sab nishan
dil ke kaghaz pe bas nam ka rah gaya
munh chhupae hawa dekhti rah gai
hausla jis mein tha wo diya rah gaya
jis shajar se achanak parinde uDe
wo shajar der tak kanpta rah gaya
jab musibat kabhi KHud pe 'ahya' paDi
falsafa sab dhara ka dhara rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.