maqtal se jab guzar ke harifana aaiye
maqtal se jab guzar ke harīfāna aa.iye
ik dasht-e-be-kanār meñ phir ghar banā.iye
tārīk ho na paa.e kabhī dāman-e-falak
palkoñ se tā-ba-sub.h sitāre jalā.iye
hone na paa.e phūloñ kā muhtāj gulsitāñ
dil ke hazār zaḳhm hamesha khilā.iye
chehroñ ko qaid se hue āzād gar kabhī
bikhre hue vajūd ko kaise bachā.iye
sāhil na de sakā hai sahārā to kyā huā
girdāb ko asīr-e-safīna banā.iye
maqtal se jab guzar ke harifana aaiye
ek dasht-e-be-kanar mein phir ghar banaiye
tarik ho na pae kabhi daman-e-falak
palkon se ta-ba-subh sitare jalaiye
hone na pae phulon ka muhtaj gulsitan
dil ke hazar zaKHm hamesha khilaiye
chehron ko qaid se hue aazad gar kabhi
bikhre hue wajud ko kaise bachaiye
sahil na de saka hai sahaara to kya hua
girdab ko asir-e-safina banaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.