mar jaenge jab hum nauhe likkhenge
mar jā.eñge jab ham nauhe likkheñge
hākim maut hamārī dekhnā becheñge
ḳhushk āñkhoñ ko dekh na leñ kahīñ zālim log
āñkhoñ pe rūmāl ko rakh kar ro.eñge
koī na hogā sunñe vaalā bastī meñ
kutte shahr ke ūñche sur meñ bhauñkeñge
jo bhī adālat adl kare is mausam meñ
us ko aag lagā ke duur se dekheñge
hākim ab sailāb meñ marne vāloñ kā
j i T se fursat ho to socheñge
apne ghar ke log nahīñ pahchāneñge
ḳhvāboñ ko ham jab dafnā kar lauTeñge
log to shāyad paanī meñ hī bah jā.eñge
'safdar' sāhab saañp gharoñ se nikleñge
mar jaenge jab hum nauhe likkhenge
hakim maut hamari dekhna bechenge
KHushk aankhon ko dekh na len kahin zalim log
aankhon pe rumal ko rakh kar roenge
koi na hoga sunne wala basti mein
kutte shahr ke unche sur mein bhaunkenge
jo bhi adalat adl kare is mausam mein
us ko aag laga ke dur se dekhenge
hakim ab sailab mein marne walon ka
j i T se fursat ho to sochenge
apne ghar ke log nahin pahchanenge
KHwabon ko hum jab dafna kar lauTenge
log to shayad pani mein hi bah jaenge
'safdar' sahab sanp gharon se niklenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.