mar kar gham-e-hayat se shayad najat ho
mar kar ġham-e-hayāt se shāyad najāt ho
lekin vo kyā kare jo ba-qaid-e-hayāt ho
tārīk din hai raat hai tārīk-tar mirī
yaksāñ hai mere vāste din ho ki raat ho
raushan-gar-e-zamīr hai ehsās-e-ġham magar
kyā fā.eda ki ġham bhī ho aur be-sabāt ho
maiñ jāntā huuñ ġham se ibārat hai merī ziist
shāyad darāz silsila-e-hādsāt ho
mar kar gham-e-hayat se shayad najat ho
lekin wo kya kare jo ba-qaid-e-hayat ho
tarik din hai raat hai tarik-tar meri
yaksan hai mere waste din ho ki raat ho
raushan-gar-e-zamir hai ehsas-e-gham magar
kya faeda ki gham bhi ho aur be-sabaat ho
main jaanta hun gham se ibarat hai meri zist
shayad daraaz silsila-e-hadsat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.