mar kar mariz-e-gham ki wo haalat nahin rahi
mar kar marīz-e-ġham kī vo hālat nahīñ rahī
yā'nī vo iztirāb kī sūrat nahīñ rahī
har lamha-e-hayāt rahā vaqf kār-e-shauq
marne kī 'umr bhar mujhe fursat nahīñ rahī
ek nāla-e-ḳhamosh musalsal hai aur ham
yādash-ba-ḳhair zabt kī tāqat nahīñ rahī
vo ahd-e-dil-farebi-e-tāsīr ab kahāñ
muddat se aah aah kī hasrat nahīñ rahī
dil aur havā-e-silsila-e-jambāni-e-nashāt
kyuuñ pās-e-vaz-e-ġham tujhe ġhairat nahīñ rahī
har be-gunāh se vāda-e-baḳhshish hai roz-e-hashr
goyā gunāh kī bhī zarūrat nahīñ rahī
ai arz-e-shauq muzhda ki dil chaak ho gayā
taklīf parda-dāri-e-hasrat nahīñ rahī
pathrā ga.ī thī aañkh magar band to na thī
ab ye bhī intizār kī sūrat nahīñ rahī
'ibrat ne bekasī kā nishāñ bhī miTā diyā
uḌtī thī jis pe ḳhaak vo turbat nahīñ rahī
mahshar meñ bhī vo 'ahd-e-vafā se mukar ga.e
jis kī ḳhushī thī ab vo qayāmat nahīñ rahī
kis muñh se ġham ke zabt kā dā'vā kare koī
tāqat ba-qadr-e-hasrat-e-rāhat nahīñ rahī
'fānī' umīd-e-marg ne bhī de diyā javāb
jiine kī hijr meñ koī sūrat nahīñ rahī
mar kar mariz-e-gham ki wo haalat nahin rahi
ya'ni wo iztirab ki surat nahin rahi
har lamha-e-hayat raha waqf kar-e-shauq
marne ki 'umr bhar mujhe fursat nahin rahi
ek nala-e-KHamosh musalsal hai aur hum
yaadash-ba-KHair zabt ki taqat nahin rahi
wo ahd-e-dil-farebi-e-tasir ab kahan
muddat se aah aah ki hasrat nahin rahi
dil aur hawa-e-silsila-e-jambani-e-nashat
kyun pas-e-waz-e-gham tujhe ghairat nahin rahi
har be-gunah se wada-e-baKHshish hai roz-e-hashr
goya gunah ki bhi zarurat nahin rahi
ai arz-e-shauq muzhda ki dil chaak ho gaya
taklif parda-dari-e-hasrat nahin rahi
pathra gai thi aankh magar band to na thi
ab ye bhi intizar ki surat nahin rahi
'ibrat ne bekasi ka nishan bhi miTa diya
uDti thi jis pe KHak wo turbat nahin rahi
mahshar mein bhi wo 'ahd-e-wafa se mukar gae
jis ki KHushi thi ab wo qayamat nahin rahi
kis munh se gham ke zabt ka da'wa kare koi
taqat ba-qadr-e-hasrat-e-rahat nahin rahi
'fani' umid-e-marg ne bhi de diya jawab
jine ki hijr mein koi surat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.