mar mar gae nazar kar uske barahna tan mein
mar mar ga.e nazar kar us ke barahna tan meñ
kapḌe utāre un ne sar khīñche ham kafan meñ
gul phuul se kab us bin lagtī haiñ apnī āñkheñ
laa.ī bahār ham ko zor-āvarī chaman meñ
ab lāl-e-nau-ḳhat us ke kam baḳhshte haiñ farhat
quvvat kahāñ rahe hai yāqūti-e-kuhan meñ
yūsuf azīz-e-dilā jā misr meñ huā thā
pākīza gauharoñ kī 'izzat nahīñ vatan meñ
dair o haram se tū to Tuk garm-e-nāz niklā
hangāma ho rahā hai ab shaiḳh o barhaman meñ
aa jaate shahr meñ tū jaise ki āñdhī aa.ī
kyā vahshateñ kiyā haiñ ham ne divānpan meñ
haiñ ghaav dil par apne teġh-e-zabāñ se sab kī
tab dard hai hamāre ai 'mīr' har suḳhan meñ
mar mar gae nazar kar us ke barahna tan mein
kapDe utare un ne sar khinche hum kafan mein
gul phul se kab us bin lagti hain apni aankhen
lai bahaar hum ko zor-awari chaman mein
ab lal-e-nau-KHat us ke kam baKHshte hain farhat
quwwat kahan rahe hai yaquti-e-kuhan mein
yusuf aziz-e-dila ja misr mein hua tha
pakiza gauharon ki 'izzat nahin watan mein
dair o haram se tu to Tuk garm-e-naz nikla
hangama ho raha hai ab shaiKH o barhaman mein
aa jate shahr mein tu jaise ki aandhi aai
kya wahshaten kiya hain hum ne diwanpan mein
hain ghaw dil par apne tegh-e-zaban se sab ki
tab dard hai hamare ai 'mir' har suKHan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.