mar rahega ab jo tu ne aah ki
mar rahegā ab jo tū ne aah kī
hai ye ḳhātir mere ḳhātir-ḳhvāh kī
garche dil-dariyā se motī lā na paa.e
kuchh ḳhabar to laa.e is kī thaah kī
ban ga.e bāzār kī tausī' ham
us ne kī taḳhlīq ham ne chaah kī
us ne jhaTkā apne ruḳh se zulf ko
maiñ ne apne she'r kī islāh kī
us farishte ne ishāra bhar kiyā
aur mujh shaitāñ ne bismillāh kī
mar rahega ab jo tu ne aah ki
hai ye KHatir mere KHatir-KHwah ki
garche dil-dariya se moti la na pae
kuchh KHabar to lae is ki thah ki
ban gae bazar ki tausi' hum
us ne ki taKHliq hum ne chah ki
us ne jhaTka apne ruKH se zulf ko
main ne apne she'r ki islah ki
us farishte ne ishaara bhar kiya
aur mujh shaitan ne bismillah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.