maraz aisa hai ki jis ki dawa hone nahin wali
maraz aisā hai ki jis kī davā hone nahīñ vaalī
kisī bhī haal meñ tum se vafā hone nahīñ vaalī
mire hisse ke jo bhī jaam haiñ vo sāmne rakh do
mire hoñToñ se koī iltijā hone nahīñ vaalī
hameñ hī DhūñDne haiñ rāste ḳhud apnī manzil ke
ye duniyā to hamārī rahnumā hone nahīñ vaalī
mujhe mālūm hai sab kuchh yahīñ rah jā.egā ik din
mirī ḳhvāhish kabhī had se sivā hone nahīñ vaalī
ham āshiq haiñ chaḌhā diije salīb-o-dār par lekin
namāz-e-ishq to ham se qazā hone nahīñ vaalī
abhī kuchh aur pech-o-ḳham bhī nikleñge mohabbat meñ
ye kis ne kah diyā ham se ḳhatā hone nahīñ vaalī
maraz aisa hai ki jis ki dawa hone nahin wali
kisi bhi haal mein tum se wafa hone nahin wali
mere hisse ke jo bhi jam hain wo samne rakh do
mere honTon se koi iltija hone nahin wali
hamein hi DhunDne hain raste KHud apni manzil ke
ye duniya to hamari rahnuma hone nahin wali
mujhe malum hai sab kuchh yahin rah jaega ek din
meri KHwahish kabhi had se siwa hone nahin wali
hum aashiq hain chaDha dije salib-o-dar par lekin
namaz-e-ishq to hum se qaza hone nahin wali
abhi kuchh aur pech-o-KHam bhi niklenge mohabbat mein
ye kis ne kah diya hum se KHata hone nahin wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.