maraz-e-ishq mein mujh sa bhi giraftar na ho
maraz-e-ishq mein mujh sa bhi giraftar na ho
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
maraz-e-ishq meñ mujh sā bhī giraftār na ho
dost to dost hai dushman ko ye āzār na ho
hosh se kaam lo anjām ko dekho muusā
tuur kī ḳhair nahīñ tālib-e-dīdār na ho
ye bhī ehsāñ hai agar haath sitam se khīñcho
na karo mehr-o-vafā dar-pa-e-āzār na ho
fātiha qabr pe aa.e ho to paḌhte jaao
tab-e-nāzuk pe agar lutf-o-karam baar na ho
dil-e-insāf-talab gher ke laayā hai jahāñ
yā-ilāhī ye kahīñ husn kī sarkār na ho
jurm vo jurm hai jo jurm kī had meñ na rahe
ma.asiyat kā hai maza jab ki gunahgār na ho
lutf jiine kā na marne kā maza miltā hai
hoñ maraz laakh magar ishq kā āzār na ho
haa.e jāñ-bāzoñ kī mahrūmī-e-qismat 'mas.ūd'
ma.arke meñ jo kisī haath meñ talvār na ho
maraz-e-ishq mein mujh sa bhi giraftar na ho
dost to dost hai dushman ko ye aazar na ho
hosh se kaam lo anjam ko dekho musa
tur ki KHair nahin talib-e-didar na ho
ye bhi ehsan hai agar hath sitam se khincho
na karo mehr-o-wafa dar-pa-e-azar na ho
fatiha qabr pe aae ho to paDhte jao
tab-e-nazuk pe agar lutf-o-karam bar na ho
dil-e-insaf-talab gher ke laya hai jahan
ya-ilahi ye kahin husn ki sarkar na ho
jurm wo jurm hai jo jurm ki had mein na rahe
masiyat ka hai maza jab ki gunahgar na ho
lutf jine ka na marne ka maza milta hai
hon maraz lakh magar ishq ka aazar na ho
hae jaan-bazon ki mahrumi-e-qismat 'masud'
marke mein jo kisi hath mein talwar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.