Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha

Manzar Lakhnavi

marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha

Manzar Lakhnavi

MORE BYManzar Lakhnavi

    marg-e-āshiq par farishta maut badnām thā

    vo hañsī roke hue baiThā thā jis kaam thā

    ḳhūn-e-nāhaq se mukarne kahāñ hañgām thā

    tiir jitne dil se nikle sab par un naam thā

    kyā batā.ī jaa.eñ shām-e-hijr majbūriyāñ

    dil hamārā thā na ham dil ke ajab hañgām thā

    hijr do karvaToñ ne kar diyā qissa tamām

    dard-e-dil āġhāz thā dard-e-jigar anjām thā

    aise vaqtoñ meñ kaleja ġham se ho jaatā hai shaq

    sabr apne dil mayyat par hamārā kaam thā

    ahl-e-mahshar dekh luuñ qātil ko to pahchān luuñ

    bholī bholī shakl thī aur kuchh bhalā saam thā

    ab koī dīvāna kahtā hai koī vahshī mujhe

    aap ulfat se pahle merā 'manzar' naam thā

    marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha

    wo hansi roke hue baiTha tha jis ka kaam tha

    KHun-e-nahaq se mukarne ka kahan hangam tha

    tir jitne dil se nikle sab par un ka nam tha

    kya batai jaen sham-e-hijr ki majburiyan

    dil hamara tha na hum dil ke ajab hangam tha

    hijr ki do karwaTon ne kar diya qissa tamam

    dard-e-dil aaghaz tha dard-e-jigar anjam tha

    aise waqton mein kaleja gham se ho jata hai shaq

    sabr apne dil ki mayyat par hamara kaam tha

    ahl-e-mahshar dekh lun qatil ko to pahchan lun

    bholi bholi shakl thi aur kuchh bhala sa sam tha

    ab koi diwana kahta hai koi wahshi mujhe

    aap ki ulfat se pahle mera 'manzar' nam tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now