marhale aasan sare ho gae
marhale āsān saare ho ga.e
tum hamāre ham tumhāre ho ga.e
aap se milnā ḳhushī kī baat hai
aap to āñkhoñ ke taare ho ga.e
miT ga.iiñ mahrūmiyāñ aur fāsle
sab se chhuT kar vo hamāre ho ga.e
aap ke aate hī tārīkī ga.ī
dil meñ raushan chāñd taare ho ga.e
aa.ī jab girdāb meñ kashtī mirī
duur nazroñ se kināre ho ga.e
ashk the āñkhoñ meñ the jab tak mirī
aa ke palkoñ par sharāre ho ga.e
vo jo aa.e to mirī qismat ke 'soz'
kis qadar ūñche sitāre ho ga.e
marhale aasan sare ho gae
tum hamare hum tumhaare ho gae
aap se milna KHushi ki baat hai
aap to aankhon ke tare ho gae
miT gain mahrumiyan aur fasle
sab se chhuT kar wo hamare ho gae
aap ke aate hi tariki gai
dil mein raushan chand tare ho gae
aai jab girdab mein kashti meri
dur nazron se kinare ho gae
ashk the aankhon mein the jab tak meri
aa ke palkon par sharare ho gae
wo jo aae to meri qismat ke 'soz'
kis qadar unche sitare ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.