marhale to zist ke tai kar liye
marhale to ziist ke tai kar liye
paañv lekin ābloñ se bhar liye
ghar se bāhar raushnī thī muntazir
kaise kaise ḳhushnumā manzar liye
aur kyā dekheñ ki vahshat ke sabab
phuul dekhe haath meñ patthar liye
dasht se ghar lauT ke pachhtā.e ham
ghar bhī niklā dasht kā manzar liye
siikh duniyā se takallum kā hunar
ek fiqra saikḌoñ nashtar liye
ab zarā tum bhī ḳhudā ban kar dikhāo
pattharo ham ne to sajde kar liye
naqsh hai 'ḳhāvar' usī kā shāhkār
ulTe-sīdhe rañg jis ne bhar liye
marhale to zist ke tai kar liye
panw lekin aablon se bhar liye
ghar se bahar raushni thi muntazir
kaise kaise KHushnuma manzar liye
aur kya dekhen ki wahshat ke sabab
phul dekhe hath mein patthar liye
dasht se ghar lauT ke pachhtae hum
ghar bhi nikla dasht ka manzar liye
sikh duniya se takallum ka hunar
ek fiqra saikDon nashtar liye
ab zara tum bhi KHuda ban kar dikhao
pattharo hum ne to sajde kar liye
naqsh hai 'KHawar' usi ka shahkar
ulTe-sidhe rang jis ne bhar liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.