mariz-e-mohabbat unhin ka fasana sunata raha dam nikalte nikalte
mariz-e-mohabbat unhin ka fasana sunata raha dam nikalte nikalte
Qamar Jalalvi
MORE BYQamar Jalalvi
marīz-e-mohabbat unhīñ kā fasāna sunātā rahā dam nikalte nikalte
magar zikr shām-e-alam kā jab aayā charāġh-e-sahar bujh gayā jalte jalte
unheñ ḳhat meñ likkhā thā dil muztarib hai javāb un kā aayā mohabbat na karte
tumheñ dil lagāne ko kis ne kahā thā bahal jā.egā dil bahalte bahalte
mujhe apne dil kī to parvā nahīñ hai magar Dar rahā huuñ ki bachpan kī zid hai
kahīñ pā-e-nāzuk meñ moch aa na jaa.e dil-e-saḳht-jāñ ko masalte masalte
bhalā koī vā'da-ḳhilāfī kī had hai hisāb apne dil meñ lagā kar to socho
qayāmat kā din aa gayā rafta rafta mulāqāt kā din badalte badalte
irāda thā tark-e-mohabbat kā lekin fareb-e-tabassum meñ phir aa ga.e ham
abhī khā ke Thokar sañbhalne na paa.e ki phir khaa.ī Thokar sañbhalte sañbhalte
bas ab sabr kar rahrav-e-rāh-e-ulfat ki tere muqaddar meñ manzil nahīñ hai
udhar sāmne sar pe shaam aa rahī hai idhar thak ga.e paañv bhī chalte chalte
vo mehmān mere hue bhī to kab tak huī sham' gul aur na Duube sitāre
'qamar' is qadar un ko jaldī thī ghar kī ki ghar chal diye chāñdnī Dhalte Dhalte
mariz-e-mohabbat unhin ka fasana sunata raha dam nikalte nikalte
magar zikr sham-e-alam ka jab aaya charagh-e-sahar bujh gaya jalte jalte
unhen KHat mein likkha tha dil muztarib hai jawab un ka aaya mohabbat na karte
tumhein dil lagane ko kis ne kaha tha bahal jaega dil bahalte bahalte
mujhe apne dil ki to parwa nahin hai magar Dar raha hun ki bachpan ki zid hai
kahin pa-e-nazuk mein moch aa na jae dil-e-saKHt-jaan ko masalte masalte
bhala koi wa'da-KHilafi ki had hai hisab apne dil mein laga kar to socho
qayamat ka din aa gaya rafta rafta mulaqat ka din badalte badalte
irada tha tark-e-mohabbat ka lekin fareb-e-tabassum mein phir aa gae hum
abhi kha ke Thokar sanbhalne na pae ki phir khai Thokar sanbhalte sanbhalte
bas ab sabr kar rahraw-e-rah-e-ulfat ki tere muqaddar mein manzil nahin hai
udhar samne sar pe sham aa rahi hai idhar thak gae panw bhi chalte chalte
wo mehman mere hue bhi to kab tak hui sham' gul aur na Dube sitare
'qamar' is qadar un ko jaldi thi ghar ki ki ghar chal diye chandni Dhalte Dhalte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.