marna to behtar hai jo mar jaiye
marnā to behtar hai jo mar jā.iye
jī se kisī ke na utar jā.iye
qatl to kartā nahīñ vo kis tarah
us ke gunahgār Thahar jā.iye
kyā likhūñ tāqat nahīñ ai nāma-bar
marne hī kī le ke ḳhabar jā.iye
aa.e ho gar yaañ talak ai mehrbāñ
baiThe koī dam to Thahar jā.iye
sū-e-haram yā taraf-e-but-kada
al-ġharaz ai shaiḳh jidhar jā.iye
donoñ jagah jalva-gah-e-yār hai
ḳhvāh idhar ḳhvāh udhar jā.iye
marna to behtar hai jo mar jaiye
ji se kisi ke na utar jaiye
qatl to karta nahin wo kis tarah
us ke gunahgar Thahar jaiye
kya likhun taqat nahin ai nama-bar
marne hi ki le ke KHabar jaiye
aae ho gar yan talak ai mehrban
baiThe koi dam to Thahar jaiye
su-e-haram ya taraf-e-but-kada
al-gharaz ai shaiKH jidhar jaiye
donon jagah jalwa-gah-e-yar hai
KHwah idhar KHwah udhar jaiye
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.