marne ki aarzu mein mujhe pech-o-tab hai
marne kī aarzū meñ mujhe pech-o-tāb hai
ab zindagī bhī bā.is-e-sad-iztirāb hai
mauj-e-ḳhalish ne le ke ye āġhosh meñ kahā
dariyā-e-ārzū bhī ba-rang-e-sarāb hai
sahrā meñ ḳhaak uḌāne kī hājat nahīñ mujhe
mujh se mire junūñ ko bhī ab ijtināb hai
pūchho na hāl-e-lazzat-e-āzār ai 'vafā'
naqsh-e-sukūñ bhī mā.il-e-sad-inqalāb hai
marne ki aarzu mein mujhe pech-o-tab hai
ab zindagi bhi bais-e-sad-iztirab hai
mauj-e-KHalish ne le ke ye aaghosh mein kaha
dariya-e-arzu bhi ba-rang-e-sarab hai
sahra mein KHak uDane ki hajat nahin mujhe
mujh se mere junun ko bhi ab ijtinab hai
puchho na haal-e-lazzat-e-azar ai 'wafa'
naqsh-e-sukun bhi mail-e-sad-inqalab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.