marte hue wajud ki hasrat tamam-shud
marte hue vajūd kī hasrat tamām-shud
sāñsoñ se lipTī āḳhirī chāhat tamām-shud
dast-e-qazā baḌhā hai mirī samt alvidā.a
ai etikāf-e-ishq ibādat tamām-shud
saaqī tumhāre madh-bhare hoñToñ kā shukriya
bāda-kashī kī saarī halāvat tamām-shud
TuuTī hai aaj saañs kī Dorī to yuuñ huā
an-dekhī manziloñ kī masāfat tamām-shud
bujhte hue charāġh kī sūrat havā huuñ maiñ
ik ḳhūb-rū vajūd kī tāqat tamām-shud
ai bārgāh-e-husn koī faisla to kar
is nā-murād-e-ishq kī hujjat tamām-shud
'arshad' mujhe to ġhaib se aatī hai ab sadā
ibn-e-turāb ab tirī mohlat tamām-shud
marte hue wajud ki hasrat tamam-shud
sanson se lipTi aaKHiri chahat tamam-shud
dast-e-qaza baDha hai meri samt alwidaa
ai etikaf-e-ishq ibaadat tamam-shud
saqi tumhaare madh-bhare honTon ka shukriya
baada-kashi ki sari halawat tamam-shud
TuTi hai aaj sans ki Dori to yun hua
an-dekhi manzilon ki masafat tamam-shud
bujhte hue charagh ki surat hawa hun main
ek KHub-ru wajud ki taqat tamam-shud
ai bargah-e-husn koi faisla to kar
is na-murad-e-ishq ki hujjat tamam-shud
'arshad' mujhe to ghaib se aati hai ab sada
ibn-e-turab ab teri mohlat tamam-shud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.