masafat-e-umr mein ziyan ka hisab hota hai justuju se
masafat-e-umr mein ziyan ka hisab hota hai justuju se
Ghulam Husain Sajid
MORE BYGhulam Husain Sajid
masāfat-e-umr meñ ziyāñ kā hisāb hotā hai justujū se
magar maiñ duniyā ko dekhtā huuñ charāġh aur aa.ine kī rū se
maiñ us gul-ḳhvāb kī ma.ayyat meñ saañs lete bhī Dar rahā huuñ
ki shāḳh baḌhne se beshtar hī na qat.a ho ḳhvāhish-e-numū se
nashāt-e-iz.hār par agarche ravā nahīñ e'tibār karnā
magar ye sach hai ki aadmī kā surāġh miltā hai guftugū se
maiñ ek muddat se is jahāñ kā asiir huuñ aur sochtā huuñ
ye ḳhvāb TūTegā kis qadam par ye rañg chhūTegā kab lahū se
ye mish.al-e-ḳhvāb bhī na 'sājid' kisī sitāre kī pesh-rau ho
ki mere siine meñ ek ġham ne numūd paa.ī hai aarzū se
masafat-e-umr mein ziyan ka hisab hota hai justuju se
magar main duniya ko dekhta hun charagh aur aaine ki ru se
main us gul-KHwab ki mayyat mein sans lete bhi Dar raha hun
ki shaKH baDhne se beshtar hi na qata ho KHwahish-e-numu se
nashat-e-izhaar par agarche rawa nahin e'tibar karna
magar ye sach hai ki aadmi ka suragh milta hai guftugu se
main ek muddat se is jahan ka asir hun aur sochta hun
ye KHwab TuTega kis qadam par ye rang chhuTega kab lahu se
ye mishal-e-KHwab bhi na 'sajid' kisi sitare ki pesh-rau ho
ki mere sine mein ek gham ne numud pai hai aarzu se
- Book : Monthly Usloob (Pg. 393)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.