masaib ko chhupana jaanta hai
masā.ib ko chhupānā jāntā hai
ye laḌkā muskurānā jāntā hai
tujhe vo huur bhī likhtā rahā hai
qulāboñ ko milānā jāntā hai
anā ko qatl kar detā hai apnī
vo rūThoñ ko manānā jāntā hai
tumheñ to ham akele jānte haiñ
hameñ saarā zamāna jāntā hai
ta.alluq ḳhatm kar Daalā hai jis ne
ravābit ko nibhānā jāntā hai
masaib ko chhupana jaanta hai
ye laDka muskurana jaanta hai
tujhe wo hur bhi likhta raha hai
qulabon ko milana jaanta hai
ana ko qatl kar deta hai apni
wo ruThon ko manana jaanta hai
tumhein to hum akele jaante hain
hamein sara zamana jaanta hai
talluq KHatm kar Dala hai jis ne
rawabit ko nibhana jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.