masail hain jo la-yanhal bahut aasan ban jate
masā.il haiñ jo lā-yanhal bahut āsān ban jaate
jo shaiḳh-o-barhaman kuchh der ko insān ban jaate
nafas kī āmad-o-shud sher ham dīvān ban jaate
ba-nazm-e-zindagānī tum agar unvān ban jaate
masīhā-e-zamāñ banñā bhī koī amr-e-mushkil thā
jo tum kar lete mere dard kī pahchān ban jaate
bayāñ karte sifāt apnī jo bām-e-ḳhud-numā.ī se
to ham charḳh-e-adab par shā.ir-e-zī-shān ban jaate
udhar to 'shauq' un kī kufr-sāmāñ zulf hī bantī
idhar to saikḌoñ bigḌe hue īmān ban jaate
masail hain jo la-yanhal bahut aasan ban jate
jo shaiKH-o-barhaman kuchh der ko insan ban jate
nafas ki aamad-o-shud sher hum diwan ban jate
ba-nazm-e-zindagani tum agar unwan ban jate
masiha-e-zaman banna bhi koi amr-e-mushkil tha
jo tum kar lete mere dard ki pahchan ban jate
bayan karte sifat apni jo baam-e-KHud-numai se
to hum charKH-e-adab par shair-e-zi-shan ban jate
udhar to 'shauq' un ki kufr-saman zulf hi banti
idhar to saikDon bigDe hue iman ban jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.