masala KHatm hua chahta hai
mas.ala ḳhatm huā chāhtā hai
dil bas ab zaḳhm nayā chāhtā hai
kab talak log añdhere meñ raheñ
ab ye māhaul diyā chāhtā hai
mas.ala mere tahaffuz kā nahīñ
shahr kā shahr ḳhudā chāhtā hai
merī tanhā.iyāñ lab māñgtī haiñ
merā darvāza sadā chāhtā hai
ghar ko jaate hue sharm aatī hai
raat kā ek bajā chāhtā hai
masala KHatm hua chahta hai
dil bas ab zaKHm naya chahta hai
kab talak log andhere mein rahen
ab ye mahaul diya chahta hai
masala mere tahaffuz ka nahin
shahr ka shahr KHuda chahta hai
meri tanhaiyan lab mangti hain
mera darwaza sada chahta hai
ghar ko jate hue sharm aati hai
raat ka ek baja chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.