masale bhi mere hamrah chale aate hain
mas.ale bhī mire hamrāh chale aate haiñ
hausle bhī mire hamrāh chale aate haiñ
kuchh na kuchh baat mire azm-e-safar meñ hai zarūr
qāfile bhī mire hamrāh chale aate haiñ
jab bhī ai dost tirī samt baḌhātā huuñ qadam
fāsle bhī mire hamrāh chale aate haiñ
ġham mire saath nikalte haiñ savere ghar se
din Dhale bhī mire hamrāh chale aate haiñ
pā-bārhna jo guzartā huuñ tire kūche se
aable bhī mire hamrāh chale aate haiñ
mere māhaul meñ har samt bure log nahīñ
kuchh bhale bhī mire hamrāh chale aate haiñ
jab bhī kartā hai qabīla mirā hijrat 'razmī'
zalzale bhī mire hamrāh chale aate haiñ
masale bhi mere hamrah chale aate hain
hausle bhi mere hamrah chale aate hain
kuchh na kuchh baat mere azm-e-safar mein hai zarur
qafile bhi mere hamrah chale aate hain
jab bhi ai dost teri samt baDhata hun qadam
fasle bhi mere hamrah chale aate hain
gham mere sath nikalte hain sawere ghar se
din Dhale bhi mere hamrah chale aate hain
pa-barhna jo guzarta hun tere kuche se
aable bhi mere hamrah chale aate hain
mere mahaul mein har samt bure log nahin
kuchh bhale bhi mere hamrah chale aate hain
jab bhi karta hai qabila mera hijrat 'razmi'
zalzale bhi mere hamrah chale aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.