masale mere sabhi hal kar de
mas.ale mere sabhī hal kar de
varna yārab mujhe pāgal kar de
vaqt kī dhuup meñ jaltā hai badan
mujh pe saaya koī āñchal kar de
aisī tahzīb se hāsil kyā hai
jo bhare shahr ko jañgal kar de
rok rakkhī hai ghaTā āñkhoñ meñ
varna bah jaa.e to jal-thal kar de
vo jo rakhtā hai mujhe nazroñ meñ
kahīñ nazroñ se na ojhal kar de
shahr meñ jaadū hai jaane kaisā
zar-e-ḳhālis ko jo pītal kar de
ġham hai sauġhāt kī sūrat yārab
tū mire ġham ko musalsal kar de
masale mere sabhi hal kar de
warna yarab mujhe pagal kar de
waqt ki dhup mein jalta hai badan
mujh pe saya koi aanchal kar de
aisi tahzib se hasil kya hai
jo bhare shahr ko jangal kar de
rok rakkhi hai ghaTa aankhon mein
warna bah jae to jal-thal kar de
wo jo rakhta hai mujhe nazron mein
kahin nazron se na ojhal kar de
shahr mein jadu hai jaane kaisa
zar-e-KHalis ko jo pital kar de
gham hai saughat ki surat yarab
tu mere gham ko musalsal kar de
- Book : Aawaz Ke Saye (Poetry) (Pg. 63)
- Author : Obaidur Rahman
- Publication : Sehla Obaid (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.