Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masarrat ka hamesha ek hi aalam nahin hota

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

masarrat ka hamesha ek hi aalam nahin hota

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar

    masarrat hamesha ek aalam nahīñ hotā

    karam hotā to hai un magar paiham nahīñ hotā

    ḳhushī ġham jinheñ hotā hai samjho ġham-nasīb un ko

    jinheñ ġham ḳhushī hotī hai un ko ġham nahīñ hotā

    na le jaatā jo majnūñ ālam-e-dīvāngī ham se

    to us zikr-e-ḳhair afsāna-e-ālam nahīñ hotā

    kahāñ hai burā.ī se burā.ī miT nahīñ saktī

    are ġhāfil añdhere se añdherā kam nahīñ hotā

    yahī vo vaqt hai jab aadmī ko hosh aatā hai

    ḳhudā yaad se ġhāfil Dil-e-pur-ġham nahīñ hotā

    burā jab vaqt aatā hai to is duniyā-e-ulfat meñ

    koī monis nahīñ hotā koī hamdam nahīñ hotā

    tasallī se kabhī taskīn-e-ḳhātir ho nahīñ saktī

    junūn-e-shauq baḌh jaatā hai is se kam nahīñ hotā

    fazā-e-bāġh-e-hastī meñ ḳhizāñ bhī hai bahāreñ bhī

    kahāñ ḳhushiyāñ nahīñ hotīñ kahāñ mātam nahīñ hotā

    nibāh āsāñ nahīñ duniyā rasm-e-dost-dārī

    koī dam-sāz hotā hai to ham meñ dam nahīñ hotā

    fanā ke ba.ad miltā hai sukūn-e-rāhat-e-manzil

    jahāñ shīrāza-e-hastī kabhī barham nahīñ hotā

    koī miltā hai jab rāh-e-talab meñ rahbar-e-kāmil

    to ham ko dūrī-e-manzil bhī kuchh ġham nahīñ hotā

    hamāre ek dam par ek dam jo kuchh guzartī hai

    mohabbat meñ kabhī aisā to ai hamdam nahīñ hotā

    tumhīñ imdād ko 'ḳhushtar' aa jaate ho mushkil meñ

    sahārā jab koī ai sarvar-e-ālam nahīñ hotā

    masarrat ka hamesha ek hi aalam nahin hota

    karam hota to hai un ka magar paiham nahin hota

    KHushi ka gham jinhen hota hai samjho gham-nasib un ko

    jinhen gham ki KHushi hoti hai un ko gham nahin hota

    na le jata jo majnun aalam-e-diwangi hum se

    to us ka zikr-e-KHair afsana-e-alam nahin hota

    kahan hai tu burai se burai miT nahin sakti

    are ghafil andhere se andhera kam nahin hota

    yahi wo waqt hai jab aadmi ko hosh aata hai

    KHuda ki yaad se ghafil Dil-e-pur-gham nahin hota

    bura jab waqt aata hai to is duniya-e-ulfat mein

    koi monis nahin hota koi hamdam nahin hota

    tasalli se kabhi taskin-e-KHatir ho nahin sakti

    junun-e-shauq baDh jata hai is se kam nahin hota

    faza-e-bagh-e-hasti mein KHizan bhi hai bahaaren bhi

    kahan KHushiyan nahin hotin kahan matam nahin hota

    nibah aasan nahin duniya ki rasm-e-dost-dari ka

    koi dam-saz hota hai to hum mein dam nahin hota

    fana ke baad milta hai sukun-e-rahat-e-manzil

    jahan shiraaza-e-hasti kabhi barham nahin hota

    koi milta hai jab rah-e-talab mein rahbar-e-kaamil

    to hum ko duri-e-manzil ka bhi kuchh gham nahin hota

    hamare ek dam par ek dam jo kuchh guzarti hai

    mohabbat mein kabhi aisa to ai hamdam nahin hota

    tumhin imdad ko 'KHushtar' ki aa jate ho mushkil mein

    sahaara jab koi ai sarwar-e-alam nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now