Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar

Arzoo Lakhnavi

taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    taqdīr pe shākir rah kar bhī ye kaun kahe tadbīr na kar

    bāb-e-ijābat ho ki na ho zanjīr hilā tāḳhīr na kar

    ġham baḌhne de ai dil aur zarā jāñch aah be-tāsīr na kar

    hai ḳhvāb adhūrā aap abhī be-samjhe ġhalat ta.abīr na kar

    jab zulm badla zulm huā mazlūm haq kuchh bhī na rahā

    de dard meñ lazzat yārab naale ko atā tāsīr na kar

    ho laakh kamān kaḌī qātil kuchh jazb nishāne meñ bhī hai

    baazū ke bal pe nazar kar ke andāza-e-zaḳhm-e-tīr na kar

    ab tak jo nigāheñ sīdhī haiñ mumkin hai kal ye palaT jaa.eñ

    jo karnā ho kare aise meñ kis soch meñ hai tāḳhīr na kar

    paimān-e-mohabbat ḳhatm huā ab zikr se us ke fā.eda kyā

    muñh bikhrī kaḌiyoñ ke na milā tayyār na.ī zanjīr na kar

    ulfat ke ahd-e-mohkam meñ buude kāġhaz zamānat kyā

    ye dil se dil bāteñ haiñ rakh yaad faqat tahrīr na kar

    har dil hai hayāt sarmāya har dil meñ josh mohabbat

    'ārzū' aur kahegā kyā bas rahne bhī de taqrīr na kar

    taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar

    wa bab-e-ijabat ho ki na ho zanjir hila taKHir na kar

    gham baDhne de ai dil aur zara jaanch aah ki be-tasir na kar

    hai KHwab adhura aap abhi be-samjhe ghalat tabir na kar

    jab zulm ka badla zulm hua mazlum ka haq kuchh bhi na raha

    de dard hi mein lazzat yarab nale ko ata tasir na kar

    ho lakh kaman kaDi qatil kuchh jazb nishane mein bhi hai

    bazu ke bal pe nazar kar ke andaza-e-zaKHm-e-tir na kar

    ab tak jo nigahen sidhi hain mumkin hai kal ye palaT jaen

    jo karna ho kare aise mein kis soch mein hai taKHir na kar

    paiman-e-mohabbat KHatm hua ab zikr se us ke faeda kya

    munh bikhri kaDiyon ke na mila tayyar nai zanjir na kar

    ulfat ke ahd-e-mohkam mein bude kaghaz ki zamanat kya

    ye dil se dil ki baaten hain rakh yaad faqat tahrir na kar

    har dil hai hayat ka sarmaya har dil mein josh mohabbat ka

    tu 'arzu' aur kahega kya bas rahne bhi de taqrir na kar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now