masiha apni koshish kar chuke hain
masīhā apnī koshish kar chuke haiñ
magar jis ko davā se mas.ale haiñ
tumhārā jhuuT duniyā ghuum aayā
mire sach ke abhī tasme khule haiñ
maiñ bas is dukh meñ aadhī rah ga.ī huuñ
jo achchhe din the puure ho chuke haiñ
tire kāñdhe se lag kar kaun royā
ye kis ke baal us par rah ga.e haiñ
sahī logoñ ko chunñe kā sila hai
ġhalat number se massage aa rahe haiñ
ye sun kar niiñd hī uḌ ga.ī hamārī
hamāre ḳhvāb dekhe jā rahe haiñ
bichhaḌ jaate to kis ko muñh dikhāte
so phir se muñh uThā kar aa ga.e haiñ
zabāneñ chal rahīñ thiiñ jaise aare
qadam donoñ ke uTh uTh kar ruke haiñ
masiha apni koshish kar chuke hain
magar jis ko dawa se masale hain
tumhaara jhuT duniya ghum aaya
mere sach ke abhi tasme khule hain
main bas is dukh mein aadhi rah gai hun
jo achchhe din the pure ho chuke hain
tere kandhe se lag kar kaun roya
ye kis ke baal us par rah gae hain
sahi logon ko chunne ka sila hai
ghalat number se massage aa rahe hain
ye sun kar nind hi uD gai hamari
hamare KHwab dekhe ja rahe hain
bichhaD jate to kis ko munh dikhate
so phir se munh uTha kar aa gae hain
zabanen chal rahin thin jaise aare
qadam donon ke uTh uTh kar ruke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.