masjidon ke sahn tak jaana bahut dushwar tha
masjidoñ ke sahn tak jaanā bahut dushvār thā
dair se niklā to mere rāste meñ daar thā
dekhte hī dekhte shahroñ kī raunaq ban gayā
kal yahī chehra hamāre ā.inoñ par baar thā
apnī qismat meñ likhī thī dhuup kī nārāzgī
sāya-e-dīvār thā lekin pas-e-dīvār thā
sab ke dukh sukh us ke chehre par likhe paa.e ga.e
aadmī kyā thā hamāre shahr kā aḳhbār thā
ab mohalle bhar ke darvāzoñ pe dastak hai nasīb
ik zamāna thā ki jab maiñ bhī bahut ḳhuddār thā
masjidon ke sahn tak jaana bahut dushwar tha
dair se nikla to mere raste mein dar tha
dekhte hi dekhte shahron ki raunaq ban gaya
kal yahi chehra hamare aainon par bar tha
apni qismat mein likhi thi dhup ki naraazgi
saya-e-diwar tha lekin pas-e-diwar tha
sab ke dukh sukh us ke chehre par likhe pae gae
aadmi kya tha hamare shahr ka aKHbar tha
ab mohalle bhar ke darwazon pe dastak hai nasib
ek zamana tha ki jab main bhi bahut KHuddar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.