maskan-e-mah-o-sal chhoD gaya
maskan-e-māh-o-sāl chhoḌ gayā
dil ko us kā ḳhayāl chhoḌ gayā
tāza-dam jism-o-jāñ the furqat meñ
vasl us kā niDhāl chhoḌ gayā
ahd-e-māzī jo thā ajab pur-hāl
ek vīrān haal chhoḌ gayā
jhālā-bārī ke marhaloñ kā safar
qāfile pā.emāl chhoḌ gayā
dil ko ab ye bhī yaad ho ki na ho
kaun thā kyā malāl chhoḌ gayā
maiñ bhī ab ḳhud se huuñ javāb-talab
vo mujhe be-savāl chhoḌ gayā
maskan-e-mah-o-sal chhoD gaya
dil ko us ka KHayal chhoD gaya
taza-dam jism-o-jaan the furqat mein
wasl us ka niDhaal chhoD gaya
ahd-e-mazi jo tha ajab pur-haal
ek viran haal chhoD gaya
jhaala-bari ke marhalon ka safar
qafile paemal chhoD gaya
dil ko ab ye bhi yaad ho ki na ho
kaun tha kya malal chhoD gaya
main bhi ab KHud se hun jawab-talab
wo mujhe be-sawal chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.