maslahat-kosh na the KHwab jalane se rahe
maslahat-kosh na the ḳhvāb jalāne se rahe
raat bantī hui ik baat banāne se rahe
bazm-e-ā.inda meñ kab kaun kahāñ baiThegā
raftagāñ sab ko ye asrār batāne se rahe
tum ne lauT aane kī ummīd lagā.ī hai abas
ham jo dīvār uThā deñ vo girāne se rahe
tire pahlū se sarakte hue dil rone lagā
Dūbne vaale ko tairāk bachāne se rahe
ham se hotī nahīñ tash.hīr-e-ta.alluq be-kār
qīmtī shai sar-e-dīvār sajāne se rahe
apnī dilchaspī kā sāmān nahīñ thī duniyā
ham yahāñ Thahre magar tere bahāne se rahe
maslahat-kosh na the KHwab jalane se rahe
raat banti hui ek baat banane se rahe
bazm-e-ainda mein kab kaun kahan baiThega
raftagan sab ko ye asrar batane se rahe
tum ne lauT aane ki ummid lagai hai abas
hum jo diwar uTha den wo girane se rahe
tere pahlu se sarakte hue dil rone laga
Dubne wale ko tairak bachane se rahe
hum se hoti nahin tashhir-e-talluq be-kar
qimti shai sar-e-diwar sajaane se rahe
apni dilchaspi ka saman nahin thi duniya
hum yahan Thahre magar tere bahane se rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.