masnad-nashin hone ki chahat nahin mujhe
masnad-nashīn hone kī chāhat nahīñ mujhe
manzūr be-hisoñ kī qayādat nahīñ mujhe
haq baat ke evaz meñ milī hai sazā-e-maut
gustāḳhī-e-zabāñ pe nadāmat nahīñ mujhe
nīchī bahut hai qad se mire āsmāñ kī chhat
varna falak se koī shikāyat nahīñ mujhe
qur.ān jab paḌhā to huā mujh pe munkashif
degī faqat namāz hī jannat nahīñ mujhe
merā vajūd tere liye ik savāl hai
denā javāb soch ke ujlat nahīñ mujhe
zulf-e-suḳhan sañvārtā rahtā huuñ sub.h-o-shām
kār-e-junūñ meñ vaqt kī qillat nahīñ mujhe
vaqt aa.egā to jaan bhī de dūñgā maiñ 'shafaq'
lekin abhī junūn-e-shahādat nahīñ mujhe
masnad-nashin hone ki chahat nahin mujhe
manzur be-hison ki qayaadat nahin mujhe
haq baat ke ewaz mein mili hai saza-e-maut
gustaKHi-e-zaban pe nadamat nahin mujhe
nichi bahut hai qad se mere aasman ki chhat
warna falak se koi shikayat nahin mujhe
quran jab paDha to hua mujh pe munkashif
degi faqat namaz hi jannat nahin mujhe
mera wajud tere liye ek sawal hai
dena jawab soch ke ujlat nahin mujhe
zulf-e-suKHan sanwarta rahta hun subh-o-sham
kar-e-junun mein waqt ki qillat nahin mujhe
waqt aaega to jaan bhi de dunga main 'shafaq'
lekin abhi junun-e-shahadat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.