masnui raushni se sitare chamak uThen
masnū'ī raushnī se sitāre chamak uTheñ
gar kuchh dinoñ kī baat ho saare chamak uTheñ
in chuTkiyoñ se jitnī harārat bhī paidā ho
mumkin kahāñ ki in se sharāre chamak uTheñ
kuchh fā.eda ho sab ko tumhāre kalām kā
raushan karo kuchh aisā ki saare chamak uTheñ
ham aise pattharoñ ko bhī hiirā ḳhayāl kar
shāyad kabhī to sharm ke maare chamak uTheñ
baiThā huā huuñ tere barābar meñ is liye
terī chamak se mere sitāre chamak uTheñ
masnu'i raushni se sitare chamak uThen
gar kuchh dinon ki baat ho sare chamak uThen
in chuTkiyon se jitni hararat bhi paida ho
mumkin kahan ki in se sharare chamak uThen
kuchh faeda ho sab ko tumhaare kalam ka
raushan karo kuchh aisa ki sare chamak uThen
hum aise pattharon ko bhi hira KHayal kar
shayad kabhi to sharm ke mare chamak uThen
baiTha hua hun tere barabar mein is liye
teri chamak se mere sitare chamak uThen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.