masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta
masrūr dil-e-zār kabhī ho nahīñ saktā
yā'nī tirā dīdār kabhī ho nahīñ saktā
maiñ ġhair-e-vafādār kabhī ho nahīñ saktā
is se tumheñ inkār kabhī ho nahīñ saktā
ab lutf-o-karam par bhī bharosa nahīñ us ko
achchhā tirā bīmār kabhī ho nahīñ saktā
use shaiḳh agar ḳhuld kī tā'rīf yahī hai
maiñ is kā talabgār kabhī ho nahīñ saktā
ā'māl kī pursish na kare dāvar-e-mahshar
majbūr to muḳhtār kabhī ho nahīñ saktā
mumkin hai farishtoñ se koī sahv huā ho
maiñ itnā gunahgār kabhī ho nahīñ saktā
āzār-e-mohabbat hai aur āzār hai ai 'josh'
jo bā.is-e-āzār kabhī ho nahīñ saktā
masrur dil-e-zar kabhi ho nahin sakta
ya'ni tera didar kabhi ho nahin sakta
main ghair-e-wafadar kabhi ho nahin sakta
is se tumhein inkar kabhi ho nahin sakta
ab lutf-o-karam par bhi bharosa nahin us ko
achchha tera bimar kabhi ho nahin sakta
use shaiKH agar KHuld ki ta'rif yahi hai
main is ka talabgar kabhi ho nahin sakta
aa'mal ki pursish na kare dawar-e-mahshar
majbur to muKHtar kabhi ho nahin sakta
mumkin hai farishton se koi sahw hua ho
main itna gunahgar kabhi ho nahin sakta
aazar-e-mohabbat hai aur aazar hai ai 'josh'
jo bais-e-azar kabhi ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.