masrur ho rahe hain gham-e-ashiqi se hum
masrur ho rahe hain gham-e-ashiqi se hum
Abu Mohammad Wasil Bahraichi
MORE BYAbu Mohammad Wasil Bahraichi
masrūr ho rahe haiñ ġham-e-'āshiqī se ham
kyuuñ tang hoñge kashmakash-e-zindagī se ham
koh-e-alam uThā hī liyā rāh-e-'ishq meñ
apnī ḳhushī ko chhoḌ ke terī ḳhushī se ham
lab-hā-e-yār ne to gulistāñ piro liye
ḳhushbū jo pā rahe haiñ tirī pankhuḌī se ham
apnī bahār dekh ke hairān rah ga.e
vāqif hue haiñ jab se rumūz-e-ḳhudī se ham
merī jabīn-e-shauq ko dar un kā mil gayā
uTh kar kahāñ ko jaa.eñ dar-e-bandagī se ham
rāh-e-vafā meñ jī ke mare mar ke bhī jiye
khelā usī tarah se kiye zindagī se ham
dāman ko tār-tār kiyā manzileñ milīñ
ā.eñge ab na hosh meñ dīvāngī se ham
ḳhud dard ban gayā mirā darmān-e-zindagī
itnā qarīb ho ga.e kuchh dard hī se ham
jo maqsad-e-hayāt ko bhūle vahī kaheñ
tang aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham
'vāsil' ke dāġh-e-dil se hai manzil kī raushnī
varna nikal ke aate bhalā tīrgī se ham
masrur ho rahe hain gham-e-'ashiqi se hum
kyun tang honge kashmakash-e-zindagi se hum
koh-e-alam uTha hi liya rah-e-'ishq mein
apni KHushi ko chhoD ke teri KHushi se hum
lab-ha-e-yar ne to gulistan piro liye
KHushbu jo pa rahe hain teri pankhuDi se hum
apni bahaar dekh ke hairan rah gae
waqif hue hain jab se rumuz-e-KHudi se hum
meri jabin-e-shauq ko dar un ka mil gaya
uTh kar kahan ko jaen dar-e-bandagi se hum
rah-e-wafa mein ji ke mare mar ke bhi jiye
khela usi tarah se kiye zindagi se hum
daman ko tar-tar kiya manzilen milin
aaenge ab na hosh mein diwangi se hum
KHud dard ban gaya mera darman-e-zindagi
itna qarib ho gae kuchh dard hi se hum
jo maqsad-e-hayat ko bhule wahi kahen
tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum
'wasil' ke dagh-e-dil se hai manzil ki raushni
warna nikal ke aate bhala tirgi se hum
- Book : Jalwa-e-Haq (Pg. 61)
- Author : Abu Mohammad vasil
- Publication : Urdu Academy (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.