mast-e-nigah-e-naz ka arman nikaliye
mast-e-nigāh-e-nāz kā armāñ nikāliye
be-ḳhud banā ke bazm se ai jaañ nikāliye
husn-e-nazara-soz kī haiñ lan-tarāniyāñ
armān-e-dīd mūsī-e-imrāñ nikāliye
pinhāñ hai kufr ishq meñ īmān-e-āshiqāñ
zulmat se nūr-e-chashma-e-haivāñ nikāliye
dam bhar meñ dho.e jā.eñge sab dāġh-e-ma.asiyat
yak qatra ashk tajraba-sāmāñ nikāliye
tauhīd meñ hai naqsh-e-do-rañgī hijāb-e-zāt
zauq-e-nazar kā hausla ai jaañ nikāliye
jab jalva-hā-e-vādī-e-aiman nazar meñ hoñ
ḳhātir se vahm-e-rauza-e-rizvāñ nikāliye
dil ko banā ke nuqta-e-parkār-e-āfiyat
pā-e-talab ba-himmat-e-mardāñ nikāliye
zikr-e-ḳhafī azal se hai vird-e-dil-o-zabāñ
shak hai to tan se tār-e-rag-e-jāñ nikāliye
kaunain ain-e-ilm meñ hai jalva-gāh-e-husn
jeb-e-ḳhirad se ainak-e-irfāñ nikāliye
har jaam meñ hai aks-e-ruḳh-e-yār jalva-gar
ai dil sabīl-e-sohbat-e-rindāñ nikāliye
maqbūliyat suḳhan kī hai 'sāhir' jo rañg-e-bazm
rañg-e-ayār-e-tab-e-suḳhan-dāñ nikāliye
mast-e-nigah-e-naz ka arman nikaliye
be-KHud bana ke bazm se ai jaan nikaliye
husn-e-nazara-soz ki hain lan-taraniyan
arman-e-did musi-e-imran nikaliye
pinhan hai kufr ishq mein iman-e-ashiqan
zulmat se nur-e-chashma-e-haiwan nikaliye
dam bhar mein dhoe jaenge sab dagh-e-masiyat
yak qatra ashk tajraba-saman nikaliye
tauhid mein hai naqsh-e-do-rangi hijab-e-zat
zauq-e-nazar ka hausla ai jaan nikaliye
jab jalwa-ha-e-wadi-e-aiman nazar mein hon
KHatir se wahm-e-rauza-e-rizwan nikaliye
dil ko bana ke nuqta-e-parkar-e-afiyat
pa-e-talab ba-himmat-e-mardan nikaliye
zikr-e-KHafi azal se hai wird-e-dil-o-zaban
shak hai to tan se tar-e-rag-e-jaan nikaliye
kaunain ain-e-ilm mein hai jalwa-gah-e-husn
jeb-e-KHirad se ainak-e-irfan nikaliye
har jam mein hai aks-e-ruKH-e-yar jalwa-gar
ai dil sabil-e-sohbat-e-rindan nikaliye
maqbuliyat suKHan ki hai 'sahir' jo rang-e-bazm
rang-e-ayar-e-tab-e-suKHan-dan nikaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.