mast nazron se allah bachae mah-jamalon se allah bachae
mast nazroñ se allāh bachā.e mah-jamāloñ se allah bachā.e
har balā sar pe aa jaa.e merī husn vāloñ se allah bachā.e
in kī ma.asūmiyat par na jaanā in ke dhoke meñ hargiz na aanā
luuT lete haiñ ye muskurā kar in kī chāloñ se allah bachā.e
bholī sūrat hai bāteñ haiñ bholī muñh meñ kuchh hai magar dil meñ kuchh hai
laakh chehrā sahī chāñd jaisā dil ke kāloñ se allah bachā.e
dil meñ hai ḳhvāhish-e-hūr-o-jannat aur zāhir meñ shauq-e-ibādat
bas hameñ shaiḳh jī aap jaise allāh-vāloñ se allah bachā.e
in kī fitrat meñ hai bevafā.ī jāntī hai ye saarī ḳhudā.ī
achchhe-achchhoñ ko dete haiñ dhokā bhole-bhāloñ se allah bachā.e
mast nazron se allah bachae mah-jamalon se allah bachae
har bala sar pe aa jae meri husn walon se allah bachae
in ki masumiyat par na jaana in ke dhoke mein hargiz na aana
luT lete hain ye muskura kar in ki chaalon se allah bachae
bholi surat hai baaten hain bholi munh mein kuchh hai magar dil mein kuchh hai
lakh chehra sahi chand jaisa dil ke kalon se allah bachae
dil mein hai KHwahish-e-hur-o-jannat aur zahir mein shauq-e-ibaadat
bas hamein shaiKH ji aap jaise allah-walon se allah bachae
in ki fitrat mein hai bewafai jaanti hai ye sari KHudai
achchhe-achchhon ko dete hain dhoka bhole-bhaalon se allah bachae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.