masti azal ki shahpar-e-jibril ho gai
mastī azal kī shahpar-e-jibrīl ho ga.ī
merī bayāz partav-e-injīl ho ga.ī
dil kā gudāz aah kī tāsīr dekh kar
patthar kī zaat kaañp ke tahlīl ho ga.ī
har lafz kankarī kī tarah ġhair par girā
apnī du'ā falak pe abābīl ho ga.ī
fir.aun-e-be-karam jo huā mā.il-e-sitam
naddī mire lahū kī vahīñ niil ho ga.ī
jaanā thā zūd-tar mujhe maidān-e-hashr meñ
yā shaġhl-e-hādsāt meñ hī Dhiil ho ga.ī
masti azal ki shahpar-e-jibril ho gai
meri bayaz partaw-e-injil ho gai
dil ka gudaz aah ki tasir dekh kar
patthar ki zat kanp ke tahlil ho gai
har lafz kankari ki tarah ghair par gira
apni du'a falak pe ababil ho gai
firaun-e-be-karam jo hua mail-e-sitam
naddi mere lahu ki wahin nil ho gai
jaana tha zud-tar mujhe maidan-e-hashr mein
ya shaghl-e-hadsat mein hi Dhil ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.