mat boliyo tu us se jahandar dekhna
mat boliyo tu us se jahandar dekhna
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
mat boliyo tū us se 'jahāñdār' dekhnā
khīñche hue hai aaj vo talvār dekhnā
abrū-kamāñ se tīr-e-nigah maar dekhnā
lagtī hai paar dil ke mire yaar dekhnā
giryāñ huuñ ek umr se pūchhā na yaar ne
rotā hai kaun ye pas-e-dīvār dekhnā
ta.alīm ashk-o-āh se lī mere abr ne
jo yuuñ baras rahā hai dhuāñ-dhār dekhnā
sar-rishta kufr-o-dīñ kā haqīqat meñ ek hai
jo tār-e-sub.ha hai so hai zunnār dekhnā
yaaro maiñ kah rahā thā ki dil mat de de ke dil
aayā hai tañg kyā hī 'jahāñdār' dekhnā
mat boliyo tu us se 'jahandar' dekhna
khinche hue hai aaj wo talwar dekhna
abru-kaman se tir-e-nigah mar dekhna
lagti hai par dil ke mere yar dekhna
giryan hun ek umr se puchha na yar ne
rota hai kaun ye pas-e-diwar dekhna
talim ashk-o-ah se li mere abr ne
jo yun baras raha hai dhuan-dhaar dekhna
sar-rishta kufr-o-din ka haqiqat mein ek hai
jo tar-e-subha hai so hai zunnar dekhna
yaro main kah raha tha ki dil mat de de ke dil
aaya hai tang kya hi 'jahandar' dekhna
- Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 47)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.